
Bachpan- Suhane Pal Zindagi Ke!
Bachpan ke kya din the woh,
Jab jeevan main na koi gham the,
Har waqt bas aaram ke pal the,
Khelna kudna hi kaam hota tha,
Padhna toh mano naam ke liye hota tha,
Bachpan ke kya din the woh.
Woh sapne suhane ladakpan ke,
Woh jo badalte har dusre din pe,
Jaha hasne main bhi alag maza tha,
Rona bhi mano ek haseen saza thi,
Bachpan ke kya din the woh.
Jaha dosti bhi nihaswarth hoti,
Nafrat toh mano derra bhi na rakh pati,
Bade bhi jaha saath bache ban jate,
Hamari masumiyat dekhkar chakit reh jate,
Bachpan ke kya din the woh.
Zindagi main hum kahi bhi kyun na pahunch jaye,
Hamare suhane bachpan ke pal sada saath rahenge,
Shayad is safar main kahi hum use jeena bhul jate hai,
Tabhi toh hamara ansh use dobara jeena seekha deta hai, Bachpan ke wo haseen pal.
Bachpan ke kya din the woh.
-ShekhaJain


